Ye Gard-e-rah Ye Mahaul Ye Dhuan Jaise

ye gard-e-rah ye mahaul ye dhuan jaise

hawa ke ruKH pe ho tahrir dastan jaise

hamara rabt-o-talluq hai chand shamon ka

shajar pe tair-e-mausam ka aashiyan jaise

ajib KHauf sa hai pattharon ki zad par hun

badan ho apna koi kanch ka makan jaise

ye aasman-o-zamin ka tilism kab TuTe

har ek wajud muallaq ho darmiyan jaise

lab-o-dahan se koi kaam hi nahin leta

har ek baat hai na-qabil-e-bayan jaise

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Gard-e-rah Ye Mahaul Ye Dhuan Jaise In English By Famous Poet Farooq Muztar. Ye Gard-e-rah Ye Mahaul Ye Dhuan Jaise is written by Farooq Muztar. Read famous Poem Ye Gard-e-rah Ye Mahaul Ye Dhuan Jaise for youth and Student by Farooq Muztar. Free Download Ye Gard-e-rah Ye Mahaul Ye Dhuan Jaise in PDF.