Jo Pahle Zara Si Nawazish Kare Hai

jo pahle zara si nawazish kare hai

wahi phir shab-o-roz sazish kare hai

wo dhoke pe dhoka diye jae lekin

ye dil phir bhi us ki sifarish kare hai

kisi din mile wo khilaunon ki surat

mera dil bhi bachchon si KHwahish kare hai

ye dil ka KHalal jaan le kar rahega

masiha to be-kar koshish kare hai

main us ki ragon mein lahu ban ke dauDun

wo mere badan mein rihaish kare hai

use pyas sahra ki bhati nahin hai

wo 'faruq' dariya pe barish kare hai

(9703) Peoples Rate This

Farooq Rahman's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Jo Pahle Zara Si Nawazish Kare Hai In English By Famous Poet Farooq Rahman. Jo Pahle Zara Si Nawazish Kare Hai is written by Farooq Rahman. Read famous Poem Jo Pahle Zara Si Nawazish Kare Hai for youth and Student by Farooq Rahman. Free Download Jo Pahle Zara Si Nawazish Kare Hai in PDF.