Manzar Ajab Tha Ashkon Ko Roka Nahin Gaya

manzar ajab tha ashkon ko roka nahin gaya

hansta hua jo aaya tha hansta nahin gaya

ek bar yun hi dekh liya tha use kahin

phir us ke baad shahr mein dekha nahin gaya

thi jis ke dam se raunaq-e-mahfil hama-hami

dawat mein us gharib ko puchha nahin gaya

sari KHudai KHud hi khinchi jati thi udhar

main KHud wahan gaya mujhe bheja nahin gaya

jo kuchh na dekhta tha 'shafaq' dekhna paDa

ghar le ke mujh ko sham ko rasta nahin gaya

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzar Ajab Tha Ashkon Ko Roka Nahin Gaya In English By Famous Poet Farooq Shafaq. Manzar Ajab Tha Ashkon Ko Roka Nahin Gaya is written by Farooq Shafaq. Read famous Poem Manzar Ajab Tha Ashkon Ko Roka Nahin Gaya for youth and Student by Farooq Shafaq. Free Download Manzar Ajab Tha Ashkon Ko Roka Nahin Gaya in PDF.