Raat Kafi Lambi Thi Dur Tak Tha Tanha Main

raat kafi lambi thi dur tak tha tanha main

ek zara se roghan par kitna jalta-bujhta main

sab nishan qadmon ke miT gae the sahil se

kis ke waste aaKHir Dubta ubharta main

mera hi badan lekin bund bund ko tarsa

dast aur sahra par abr ban ke barsa main

adh-jale se kaghaz par jaise harf raushan hon

us ki koshishon par bhi zehn se na utra main

donon shaklon mein apne hath kuchh nahin aaya

kitni bar simTa main kitni bar phaila main

zindagi ke aangan mein dhup hi nahin utri

apne sard kamre se kitni bar nikla main

aaj tak koi kashti is taraf nahin aai

paniyon ke ghere mein aisa hun jazira main

kaTta tha har manzar dusre manazir ko

koi manzar aankhon mein kis tarah se bharta main

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Kafi Lambi Thi Dur Tak Tha Tanha Main In English By Famous Poet Farooq Shafaq. Raat Kafi Lambi Thi Dur Tak Tha Tanha Main is written by Farooq Shafaq. Read famous Poem Raat Kafi Lambi Thi Dur Tak Tha Tanha Main for youth and Student by Farooq Shafaq. Free Download Raat Kafi Lambi Thi Dur Tak Tha Tanha Main in PDF.