Phulon Ko Waise Bhi Murjhana Hai Murjhaenge

phulon ko waise bhi murjhana hai murjhaenge

khiDkiyan kholin to sannaTe chale aaenge

lakh hum ujli rakhen shahr ki diwaron ko

shahr-name to bahar-haal likkhe jaenge

rakh rah jaegi rudad sunane ke liye

ye to mehman parinde hain chale jaenge

apni laghzish ko to ilzam na dega koi

log thak-haar ke mujrim hamein Thahraenge

aaj jin jaghon ki tafrih se mahfuz hun main

mere haalat mujhe kal wahan pahunchaenge

raste sham ko ghar le ke nahin lauTenge

hum tabarruk ki tarah rahon mein baT jaenge

din kisi tarah se kaT jaega saDkon pe 'shafaq'

sham phir aaegi hum sham se ghabraenge

(1530) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phulon Ko Waise Bhi Murjhana Hai Murjhaenge In English By Famous Poet Farooq Shafaq. Phulon Ko Waise Bhi Murjhana Hai Murjhaenge is written by Farooq Shafaq. Read famous Poem Phulon Ko Waise Bhi Murjhana Hai Murjhaenge for youth and Student by Farooq Shafaq. Free Download Phulon Ko Waise Bhi Murjhana Hai Murjhaenge in PDF.