Wo Alag Chup Hai KHud Se Sharma Kar

wo alag chup hai KHud se sharma kar

kya kiya main ne hath phaila kar

phal har ek Dal par nahin hote

sang har Dal par na phenka kar

taza rakhne ki koi surat soch

sukhe lab par zaban na phera kar

dasht-e-suraj mein kya mila hum ko

rah gaya rang apna sanwla kar

miT na jae kahin wajud tera

KHud ko fursat mein chhu ke dekha kar

aaina ho chala hai suraj ab

hai yahi waqt sab ko andha kar

ek hon do kinare dariya ke

koi aisi sabil paida kar

kaise darwaze par qadam rakhkhun

koi leTa hai panw phaila kar

suraten zehn se na miT jaen

bhule-bhaTke idhar bhi nikla kar

sarsari taur par jo baat hui

us ne puchha usi ko dohra kar

Thahre pani mein phenk kar patthar

apne sae ko tu na ruswa kar

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Alag Chup Hai KHud Se Sharma Kar In English By Famous Poet Farooq Shafaq. Wo Alag Chup Hai KHud Se Sharma Kar is written by Farooq Shafaq. Read famous Poem Wo Alag Chup Hai KHud Se Sharma Kar for youth and Student by Farooq Shafaq. Free Download Wo Alag Chup Hai KHud Se Sharma Kar in PDF.