Go Is Safar Mein Thak Ke Badan Chur Ho Gaya

go is safar mein thak ke badan chur ho gaya

main us ki dastaras se magar dur ho gaya

ab us ka nam le ke pukaren use kahan

sahra bhi ab to KHalq se mamur ho gaya

kyun us ne hath khinch liya mere qatl se

kyun mujh pe rahm kha ke wo maghrur ho gaya

sab apne apne ghar mein nazar-band ho gae

ab shahr pur-sukun hai mashhur ho gaya

qismat ne la ke us ko khaDa kar diya kahan

aaina dekhne pe wo majbur ho gaya

(1268) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Go Is Safar Mein Thak Ke Badan Chur Ho Gaya In English By Famous Poet Farrukh Jafari. Go Is Safar Mein Thak Ke Badan Chur Ho Gaya is written by Farrukh Jafari. Read famous Poem Go Is Safar Mein Thak Ke Badan Chur Ho Gaya for youth and Student by Farrukh Jafari. Free Download Go Is Safar Mein Thak Ke Badan Chur Ho Gaya in PDF.