Mujhe Khol Taza Hawa Mein Rakh

ye jo fasl-e-furqat-e-asr hai

ise kaT bhi

ye jo daftar-e-gham-e-zist hai

ise band kar

ise band kar ki wo but-farosh nahin rahe

jo asir the ruKH-e-dahr ke

tere ru-ba-ru tere chaar su

shab hast-o-bud ki rah mein tere ham-qadam

tere aainon ki shikastagi ka bharam liye

koi aur kab hai mere siwa

koi aur kab tha mere baghair

magar ai rahin-e-dam-e-alast

mere waqiye ke muqaddamat se peshtar

meri bandagi ko farogh de

kabhi dopahar ke KHumar mein

kisi aks-e-mauj-e-bala mein rakh

mere KHak-o-KHun ko nihaal kar

mujhe khol taza hawa mein rakh

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Khol Taza Hawa Mein Rakh In English By Famous Poet Farrukh Yar. Mujhe Khol Taza Hawa Mein Rakh is written by Farrukh Yar. Read famous Poem Mujhe Khol Taza Hawa Mein Rakh for youth and Student by Farrukh Yar. Free Download Mujhe Khol Taza Hawa Mein Rakh in PDF.