Ujlat Mein Pashemani Ka Tazkira

hum kahin saat-e-be-baal-o-pari

khol ke dam lete hain

reg-zaron se nikalte hain

rawani le kar

aur utar jate hain

gadrae hue pani mein

bas isi pani mein hai

apni hawas

apne chalan ka qissa

ye chalan

KHwab-gah-hast se hota hua

kashane talak jata hai

jis ki darzon se dua jhankti hai

aur KHilqat hai

ki ghaflat-bhare pahron mein hawa mangti hai

(835) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ujlat Mein Pashemani Ka Tazkira In English By Famous Poet Farrukh Yar. Ujlat Mein Pashemani Ka Tazkira is written by Farrukh Yar. Read famous Poem Ujlat Mein Pashemani Ka Tazkira for youth and Student by Farrukh Yar. Free Download Ujlat Mein Pashemani Ka Tazkira in PDF.