Yun Bhi Hota Hai Ki Apne-ap Aawaz Dena PaDti Hai

duniya be-sifati ki aankh se dekh

ye takwin, zaman, zaminen,

masti aur lagan ki lila

ek bahlawa hai

is bahlawe mein ek dastawez hai

jis ka awwal aaKHir

phaTa hua hai

dudhiya raushan

shah-rahon par

kitne yug the

jin mein KHamoshi ke lambe lambe sakte hain

barish aur maTi ka zikr nahin

phir bhi hum ne

mani aur imkan ki be-tartibi mein

udhar udhar se

zinda rahne ka saman kiya

KHwabon ke gadle pani mein machhli dekh ke

harf banae

aur chikni miTTi ki murat par

do aankhen rakkhin

ghaTti baDhti duniyaon tak

masti aur lagan ki lila mein

ab harf hamare dilon ko raushan rakhte hain

lekin jura jura

umron ke dalan mein

apne-ap ko be-KHabari se

bharna paDta hai

nili chhat

ThanDi rakhne ko

tan-man nila karna paDta hai!

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Bhi Hota Hai Ki Apne-ap Aawaz Dena PaDti Hai In English By Famous Poet Farrukh Yar. Yun Bhi Hota Hai Ki Apne-ap Aawaz Dena PaDti Hai is written by Farrukh Yar. Read famous Poem Yun Bhi Hota Hai Ki Apne-ap Aawaz Dena PaDti Hai for youth and Student by Farrukh Yar. Free Download Yun Bhi Hota Hai Ki Apne-ap Aawaz Dena PaDti Hai in PDF.