Dayar-e-fikr-o-hunar Ko Nikhaarne Wala

dayar-e-fikr-o-hunar ko nikhaarne wala

kahan gaya meri duniya sanwarne wala

phir us ke baad kabhi lauT kar nahin aaya

wafa ke rang nazar mein utarne wala

mujhe yaqin hai ki KHushbu ka ham-safar hoga

gulab husn-e-mohabbat ke warne wala

hamari did ko raqs-e-sharar chhoD gaya

judaiyon ki shab-e-gham guzarne wala

abhi talak hai sada paniyon pe Thahri hui

agarche Dub chuka hai pukarne wala

(1295) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dayar-e-fikr-o-hunar Ko Nikhaarne Wala In English By Famous Poet Farrukh Zohra Gilani. Dayar-e-fikr-o-hunar Ko Nikhaarne Wala is written by Farrukh Zohra Gilani. Read famous Poem Dayar-e-fikr-o-hunar Ko Nikhaarne Wala for youth and Student by Farrukh Zohra Gilani. Free Download Dayar-e-fikr-o-hunar Ko Nikhaarne Wala in PDF.