Dar-e-faqir Pe Jo Aae Wo Dua Le Jae

dar-e-faqir pe jo aae wo dua le jae

dawa-e-dard koi dard-e-la-dawa le jae

visal-e-yar ki ab sirf ek surat hai

hamari KHak uDa kar wahan hawa le jae

to jaan jae mera dukh jo tere pahlu se

koi bhi aae tere dost ko uTha le jae

kisi jazira-e-nadida ki talab thi hamein

ab is pe hai ki jahan hum ko naKHuda le jae

zamana-saz hai 'fartash' us ke kya kahne

ki KHud hi qatl kare aur KHun-baha le jae

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dar-e-faqir Pe Jo Aae Wo Dua Le Jae In English By Famous Poet Fartash Syed. Dar-e-faqir Pe Jo Aae Wo Dua Le Jae is written by Fartash Syed. Read famous Poem Dar-e-faqir Pe Jo Aae Wo Dua Le Jae for youth and Student by Fartash Syed. Free Download Dar-e-faqir Pe Jo Aae Wo Dua Le Jae in PDF.