Hum Wafadar Hain Aur Is Se Ziyaada Kya Hon

hum wafadar hain aur is se ziyaada kya hon

bas tere yar hain aur is se ziyaada kya hon

ek hi sach ne hamein aisa kiya sar-afraaz

barsar-e-dar hain aur is se ziyaada kya hon

main akela hun meri jaan ke dushman aflak

ek do chaar hain aur is se ziyaada kya hon

nam sunte hi mera aag-bagula ho jaen

mujh se bezar hain aur is se ziyaada kya hon

umr bhar baat pe qaem rahe 'fartash' ki hum

ahl-e-kirdar hain aur is se ziyaada kya hon

(1118) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Wafadar Hain Aur Is Se Ziyaada Kya Hon In English By Famous Poet Fartash Syed. Hum Wafadar Hain Aur Is Se Ziyaada Kya Hon is written by Fartash Syed. Read famous Poem Hum Wafadar Hain Aur Is Se Ziyaada Kya Hon for youth and Student by Fartash Syed. Free Download Hum Wafadar Hain Aur Is Se Ziyaada Kya Hon in PDF.