Ishq Hun Jurat-e-izhaar Bhi Kar Sakta Hun

ishq hun jurat-e-izhaar bhi kar sakta hun

KHud ko ruswa sar-e-bazar bhi kar sakta hun

tu samajhta hai ki main kuchh bhi nahin tere baghair

main tere pyar se inkar bhi kar sakta hun

ghair mumkin hi sahi tujh ko bhulana lekin

ye jo dariya hai ise par bhi kar sakta hun

tu meri amn-pasandi ko ghalat nam na de

war sahta hi nahin war bhi kar sakta hun

mai-kada kar-e-digar aur janab-e-waiz

aisi neki main gunahgar bhi kar sakta hun

dawara main teri duniya mein to KHamosh raha

par sar-e-hashr main takrar bhi kar sakta hun

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Hun Jurat-e-izhaar Bhi Kar Sakta Hun In English By Famous Poet Fartash Syed. Ishq Hun Jurat-e-izhaar Bhi Kar Sakta Hun is written by Fartash Syed. Read famous Poem Ishq Hun Jurat-e-izhaar Bhi Kar Sakta Hun for youth and Student by Fartash Syed. Free Download Ishq Hun Jurat-e-izhaar Bhi Kar Sakta Hun in PDF.