Main Apne Dil Ki Tarah Aaina Bana Hua Hun

main apne dil ki tarah aaina bana hua hun

so hairaton ke liye masala bana hua hun

pahunch to sakta tha manzil pe main magar ai dost

main dusron ke liye rasta bana hua hun

main jab chala tha to apne bhi mujh ko chhoD gae

aur aaj dekh lo main qafila bana hua hun

sitam to ye hai ki hai meri dastan aur main

sharik-e-matn nahin hashiya bana hua hun

kabhi tha qais kabhi 'mir' aur ab 'fartash'

suluk-e-ishq ka ek silsila bana hua hun

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Apne Dil Ki Tarah Aaina Bana Hua Hun In English By Famous Poet Fartash Syed. Main Apne Dil Ki Tarah Aaina Bana Hua Hun is written by Fartash Syed. Read famous Poem Main Apne Dil Ki Tarah Aaina Bana Hua Hun for youth and Student by Fartash Syed. Free Download Main Apne Dil Ki Tarah Aaina Bana Hua Hun in PDF.