NaKHl-e-mamnua Ke RuKH Dobara Gaya Main To Mara Gaya

naKHl-e-mamnua ke ruKH dobara gaya main to mara gaya

arsh se farsh par kyun utara gaya main to mara gaya

jo paDha tha kitabon mein wo aur tha zindagi aur hai

mera iman sare ka sara gaya main to mara gaya

gham gale paD gaya zindagi bujh gai aql jati rahi

ishq ke khel mein kya tumhaara gaya main to mara gaya

mujh ko ghera hai tufan ne is qadar kuchh na aae nazar

meri kashti gai ya kinara gaya main to mara gaya

mujh ko tu hi bata dast-o-bazu mere kho gae hain kahan

ai mohabbat mera har sahaara gaya main to mara gaya

ishq chalta bana shairi ho chuki mai mayassar nahin

main to mara gaya main to mara gaya main to mara gaya

muddai bargah-e-mohabbat mein 'fartash' the aur bhi

mera hi nam lekin pukara gaya main to mara gaya

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

NaKHl-e-mamnua Ke RuKH Dobara Gaya Main To Mara Gaya In English By Famous Poet Fartash Syed. NaKHl-e-mamnua Ke RuKH Dobara Gaya Main To Mara Gaya is written by Fartash Syed. Read famous Poem NaKHl-e-mamnua Ke RuKH Dobara Gaya Main To Mara Gaya for youth and Student by Fartash Syed. Free Download NaKHl-e-mamnua Ke RuKH Dobara Gaya Main To Mara Gaya in PDF.