Ada Hua Na Qarz Aur Wajud KHatm Ho Gaya

ada hua na qarz aur wajud KHatm ho gaya

main zindagi ka dete dete sud KHatm ho gaya

na jaane kaun si ada buri lagi thi ruh ko

badan ka phir tamam khel-kud KHatm ho gaya

muahade zamir se to kar liye gae magar

masarraton ka daura-e-wafud KHatm ho gaya

badan ki aastin mein ye ruh sanp ban gai

wajud ka yaqin hua wajud KHatm ho gaya

bas ek nigah Dal kar main chhup gaya KHalaon mein

phir is ke baad barf ka jumud KHatm ho gaya

majaz ka sunahra husn chha gaya nigah par

khuli jo aankh jalwa-e-shuhud KHatm ho gaya

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ada Hua Na Qarz Aur Wajud KHatm Ho Gaya In English By Famous Poet Faryad Aazar. Ada Hua Na Qarz Aur Wajud KHatm Ho Gaya is written by Faryad Aazar. Read famous Poem Ada Hua Na Qarz Aur Wajud KHatm Ho Gaya for youth and Student by Faryad Aazar. Free Download Ada Hua Na Qarz Aur Wajud KHatm Ho Gaya in PDF.