Is Tamashe Ka Sabab Warna Kahan Baqi Hai

is tamashe ka sabab warna kahan baqi hai

ab bhi kuchh log hain zinda ki jahan baqi hai

ahl-e-sahra bhi baDhe aate hain shahron ki taraf

sans lene ko jahan sirf dhuan baqi hai

zindagi umr ke us moD pe pahunchi hai jahan

sud napaid hai ehsas-e-ziyan baqi hai

DhunDhti rahti hai har lamha nigah-e-dahshat

aur kis shahr-e-mohabbat mein aman baqi hai

main kabhi sud ka qail bhi nahin tha lekin

zindagi aur bata kitna ziyan baqi hai

mar kar bhi mere qatil ko tasalli na hui

main hua KHatm to kyun nam-o-nishan baqi hai

aisi KHushiyan to kitabon mein milengi shayad

KHatm ab ghar ka tasawwur hai makan baqi hai

lakh 'azar' rahen tajdid-e-ghazal se lipTe

aaj bhi 'mir' ka andaz-e-bayan baqi hai

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Tamashe Ka Sabab Warna Kahan Baqi Hai In English By Famous Poet Faryad Aazar. Is Tamashe Ka Sabab Warna Kahan Baqi Hai is written by Faryad Aazar. Read famous Poem Is Tamashe Ka Sabab Warna Kahan Baqi Hai for youth and Student by Faryad Aazar. Free Download Is Tamashe Ka Sabab Warna Kahan Baqi Hai in PDF.