Sabab Thi Fitrat-e-insan KHarab Mausam Ka

sabab thi fitrat-e-insan KHarab mausam ka

farishte jhel rahe hain azab mausam ka

wo tishna-lab bhi fareb-e-nazar mein aaega

use bhi DhunD hi lega sarab mausam ka

daraKHt yun hi agar sabz sabz kaTte rahe

badal na jae zamin par nisab mausam ka

main jis mein rah na saka ji-huzuriyon ke sabab

ye aadmi hai usi kaamyab mausam ka

isi umid mein juhi se bhar gaya aangan

ki khilne wala hai ab ke gulab mausam ka

bahaar ho gai phir apne-ap sharminda

kiya tha dil ne bhi wo intiKHab mausam ka

khulin jo nind se aanhken hamari yan 'azar'

guzar chuka tha zamana bhi KHwab mausam ka

(953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabab Thi Fitrat-e-insan KHarab Mausam Ka In English By Famous Poet Faryad Aazar. Sabab Thi Fitrat-e-insan KHarab Mausam Ka is written by Faryad Aazar. Read famous Poem Sabab Thi Fitrat-e-insan KHarab Mausam Ka for youth and Student by Faryad Aazar. Free Download Sabab Thi Fitrat-e-insan KHarab Mausam Ka in PDF.