Subh Hoti Hai To Daftar Mein Badal Jata Hai

subh hoti hai to daftar mein badal jata hai

ye makan raat ko phir ghar mein badal jata hai

ab to har shahr hai ek shahr-e-tilismi ki jahan

jo bhi jata hai wo patthar mein badal jata hai

ek lamha bhi Thaharta nahin lamha koi

pesh-e-manzar pas-e-manzar mein badal jata hai

naqsh ubharta hai ummidon ka falak par koi

aur phir dhund ki chadar mein badal jata hai

band ho jata hai kuze mein kabhi dariya bhi

aur kabhi qatra samundar mein badal jata hai

apne mafhum pe paDti nazar jab us ki

lafz achanak but-e-shashdar mein badal jata hai

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Hoti Hai To Daftar Mein Badal Jata Hai In English By Famous Poet Faryad Aazar. Subh Hoti Hai To Daftar Mein Badal Jata Hai is written by Faryad Aazar. Read famous Poem Subh Hoti Hai To Daftar Mein Badal Jata Hai for youth and Student by Faryad Aazar. Free Download Subh Hoti Hai To Daftar Mein Badal Jata Hai in PDF.