Kitabon Se Na Danish Ki Farawani Se Aaya Hai

kitabon se na danish ki farawani se aaya hai

saliqa zindagi ka dil ki nadani se aaya hai

tum apne husn ke jalwon se kyun sharmae jate ho

ye aaina meri aankhon ki hairani se aaya hai

ulajhna KHud se rah rah kar nazar se guftugu karna

ye andaz-e-suKHan us ko nigahbani se aaya hai

nadi hai mauj mein apni use is ki KHabar kya hai

ki tishna-lab musafir kis pareshani se aaya hai

sitaron ki tarah alfaz ki zau baDhti jati hai

ghazal mein husn us chehre ki tabani se aaya hai

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitabon Se Na Danish Ki Farawani Se Aaya Hai In English By Famous Poet Fasih Akmal. Kitabon Se Na Danish Ki Farawani Se Aaya Hai is written by Fasih Akmal. Read famous Poem Kitabon Se Na Danish Ki Farawani Se Aaya Hai for youth and Student by Fasih Akmal. Free Download Kitabon Se Na Danish Ki Farawani Se Aaya Hai in PDF.