Muddat Se Wo KHushbu-e-hina Hi Nahin Aai

muddat se wo KHushbu-e-hina hi nahin aai

shayad tere kuche ki hawa hi nahin aai

maqtal pe abhi tak jo tabahi nahin aai

sarkar ki jaanib se gawahi nahin aai

duniya ka har ek kaam saliqe se kiya hai

hum logon ko bas yaad-e-KHuda hi nahin aai

jis waqt ki wo hath chhuDane pe ba-zid tha

us waqt koi yaad dua hi nahin aai

lahje se na zahir ho ki hum us se KHafa hain

jine ki abhi tak ye ada hi nahin aai

ruKHsat use ba-dida-e-nam kar to diya tha

phir is se baDi dil pe tabahi nahin aai

milti to zara puchhte ahwal hi us ka

afsos idhar baad-e-saba hi nahin aai

(1537) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muddat Se Wo KHushbu-e-hina Hi Nahin Aai In English By Famous Poet Fasih Akmal. Muddat Se Wo KHushbu-e-hina Hi Nahin Aai is written by Fasih Akmal. Read famous Poem Muddat Se Wo KHushbu-e-hina Hi Nahin Aai for youth and Student by Fasih Akmal. Free Download Muddat Se Wo KHushbu-e-hina Hi Nahin Aai in PDF.