Munawwar Jism-o-jaan Hone Lage Hain

munawwar jism-o-jaan hone lage hain

ki hum KHud par ayan hone lage hain

ba-zahir to dikhai de rahe hain

ba-baatin hum dhuan hone lage hain

jinhen tariKH bhi likhte Daregi

wo hangame yahan hone lage hain

bahut se log kyun jaane achanak

tabiat par giran hone lage hain

faza mein murtaish bhi be-asar bhi

hum aawaz-e-azan hone lage hain

siyasi log ab chole badal kar

KHuda ke tarjuman hone lage hain

jo hum ko jaan se baDh kar chahte the

nasib-e-dushmanan hone lage hain

wo chingari jo ain-e-muddaa hai

to hum shola-ba-jaan hone lage hain

kabhi the nafa apna aap hum bhi

magar ab to ziyan hone lage hain

aziyat-koshiyon ka faiz dekho

masail dastan hone lage hain

bayan hum ko karega wo kahan se

ki hum to KHud bayan hone lage hain

zara aape mein rakkho KHud ko 'akmal'

ki bachche ab jawan hone lage hain

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Munawwar Jism-o-jaan Hone Lage Hain In English By Famous Poet Fasih Akmal. Munawwar Jism-o-jaan Hone Lage Hain is written by Fasih Akmal. Read famous Poem Munawwar Jism-o-jaan Hone Lage Hain for youth and Student by Fasih Akmal. Free Download Munawwar Jism-o-jaan Hone Lage Hain in PDF.