Ye Wo Safar Hai Jahan KHun-baha Zaruri Hai

ye wo safar hai jahan KHun-baha zaruri hai

wahi na dekhna jo dekhna zaruri hai

badalti samton ki tariKH likh raha hun main

har ek moD pe ab hadsa zaruri hai

nuqush chehron ke alfaz bante jate hain

kuchh aur is se ziyaada bhi kya zaruri hai

ye sone wale tujhe sangsar kar denge

ye kah ke dekh kabhi jagna zaruri hai

andheri raat mein us rahguzar par yaro

meri tarah se ye jalta diya zaruri hai

jahan jahan se main guzrun udas raaton mein

wahan wahan teri aawaz-e-pa zaruri hai

bahut si baaten zaban se kahi nahin jatin

sawal kar ke use dekhna zaruri hai

(1278) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Wo Safar Hai Jahan KHun-baha Zaruri Hai In English By Famous Poet Fasih Akmal. Ye Wo Safar Hai Jahan KHun-baha Zaruri Hai is written by Fasih Akmal. Read famous Poem Ye Wo Safar Hai Jahan KHun-baha Zaruri Hai for youth and Student by Fasih Akmal. Free Download Ye Wo Safar Hai Jahan KHun-baha Zaruri Hai in PDF.