Kaho To Nam Main De Dun Ise Mohabbat Ka

kaho to nam main de dun ise mohabbat ka

jo ek alaw hai jalti hui rifaqat ka

jise bhi dekho chala ja raha hai tezi se

agarche kaam yahan kuchh nahin hai ujlat ka

dikhai deta hai jo kuchh kahin wo KHwab na ho

jo sun rahi hun wo dhoka na ho samaat ka

yaqin karne lage log rut badalti hai

magar ye sach bhi karishma na ho KHitabat ka

sanwarti rahi ghar ko magar ye bhul gai

ki muKHtasar hai ye arsa yahan sukunat ka

chalo ki is mein bhi ik-adh kaam kar Dalen

jo mil gaya hai ye lamha zara si mohlat ka

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaho To Nam Main De Dun Ise Mohabbat Ka In English By Famous Poet Fatima Hasan. Kaho To Nam Main De Dun Ise Mohabbat Ka is written by Fatima Hasan. Read famous Poem Kaho To Nam Main De Dun Ise Mohabbat Ka for youth and Student by Fatima Hasan. Free Download Kaho To Nam Main De Dun Ise Mohabbat Ka in PDF.