Kaun KHwahish Kare Ki Aur Jiye

kaun KHwahish kare ki aur jiye

ek bezar zindagi ke liye

aur koi nahin hai us ke siwa

sukh diye dukh diye usi ne diye

aao honTon pe lafz rakh len hum

ek muddat hui hai baat kiye

zaKHm ko ras aa gai hai hawa

ab masiha ise siye na siye

us ke piyale mein zahr hai ki sharab

kaise malum ho baghair piye

ab thakan dard banti jati hai

dil se kuchh kaam bhi to aise liye

main ne man ka libas jab pahna

mujh ko titli ne apne rang diye

(918) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun KHwahish Kare Ki Aur Jiye In English By Famous Poet Fatima Hasan. Kaun KHwahish Kare Ki Aur Jiye is written by Fatima Hasan. Read famous Poem Kaun KHwahish Kare Ki Aur Jiye for youth and Student by Fatima Hasan. Free Download Kaun KHwahish Kare Ki Aur Jiye in PDF.