KHushbu Hai Aur Dhima Sa Dukh Phaila Hai

KHushbu hai aur dhima sa dukh phaila hai

kaun gaya hai ab tak lawn akela hai

kyun aahaT par chaukun main kis ko dekhun

be-dastak hi aaya jab wo aaya hai

khuli kitaben samne rakkhe baiThi hun

dhundle dhundle lafzon mein ek chehra hai

raat dariche tak aa kar ruk jati hai

band aankhon mein us ka chehra rahta hai

aawazon se KHali kirnen phaili hain

KHamoshi mein chand bhi tanha jalta hai

jaane kaun se raste pe kho jae wo

shahr mein bhi aasebon ka Dar rahta hai

(948) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushbu Hai Aur Dhima Sa Dukh Phaila Hai In English By Famous Poet Fatima Hasan. KHushbu Hai Aur Dhima Sa Dukh Phaila Hai is written by Fatima Hasan. Read famous Poem KHushbu Hai Aur Dhima Sa Dukh Phaila Hai for youth and Student by Fatima Hasan. Free Download KHushbu Hai Aur Dhima Sa Dukh Phaila Hai in PDF.