Zamin Se Rishta-e-diwar-o-dar Bhi Rakhna Hai

zamin se rishta-e-diwar-o-dar bhi rakhna hai

sanwarne ke liye apna ghar bhi rakhna hai

hawa se aag se pani se muttasil rah kar

inhin se apni tabahi ka Dar bhi rakhna hai

makan banate hue chhat bahut zaruri hai

bacha ke sehn mein lekin shajar bhi rakhna hai

ye kya safar ke liye hijraten jawaz banen

jo wapsi ka ho aisa safar bhi rakhna hai

hamari nasl sanwarti hai dekh kar hum ko

so apne-ap ko shaffaf-tar bhi rakhna hai

hawa ke ruKH ko badalna agar nahin mumkin

hawa ki zad pe safar ka hunar bhi rakhna hai

nishan-e-rah se baDh kar hain KHwab manzil ke

inhen bachana hai aur rah par bhi rakhna hai

jawaz kuchh bhi ho itna to sab hi jaante hain

safar ke sath jawaz-e-safar bhi rakhna hai

(933) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Se Rishta-e-diwar-o-dar Bhi Rakhna Hai In English By Famous Poet Fatima Hasan. Zamin Se Rishta-e-diwar-o-dar Bhi Rakhna Hai is written by Fatima Hasan. Read famous Poem Zamin Se Rishta-e-diwar-o-dar Bhi Rakhna Hai for youth and Student by Fatima Hasan. Free Download Zamin Se Rishta-e-diwar-o-dar Bhi Rakhna Hai in PDF.