Kya Baat Thi Ki Usko Sanwarne Nahin Diya

kya baat thi ki us ko sanwarne nahin diya

aaina hath mein tha nikharne nahin diya

tufan mein phanse to kinare tak aa gae

sahil ne un ko phir bhi ubharne nahin diya

is daur-e-pur-fitan mein saliqe se TuT kar

TuTe to roz hi pe bikharne nahin diya

hum ne amir-e-shahr ko sajda nahin kiya

KHuddari-e-mizaj ne girne nahin diya

radd-o-qadah ke baad 'wasiya' ne aaj bhi

mear se ghazal ko utarne nahin diya

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Baat Thi Ki Usko Sanwarne Nahin Diya In English By Famous Poet Fatima Wasia Jayasi. Kya Baat Thi Ki Usko Sanwarne Nahin Diya is written by Fatima Wasia Jayasi. Read famous Poem Kya Baat Thi Ki Usko Sanwarne Nahin Diya for youth and Student by Fatima Wasia Jayasi. Free Download Kya Baat Thi Ki Usko Sanwarne Nahin Diya in PDF.