Tumhaare Liye Muskuraati Sahar Hai

tumhaare liye muskuraati sahar hai

hamare liye raat ka ye nagar hai

akele yahan baiTh kar kya karenge

bulaya hai jis ne hamein wo kidhar hai

pareshan hun kis kis ka surma banaun

yahan to har ek ki usi par nazar hai

ujala hain ruKHsar jadu hain aankhen

ba-zahir wo sab ki tarah ek bashar hai

wo jis ne hamesha hamein dukh diye hain

tamasha to ye hai wahi chaaragar hai

nikal kar wahan se kahin dil na Thahra

bichaara abhi tak yahan dar-ba-dar hai

kisi din ye patthar bhi baaten karega

mohabbat ki nazron mein itna asar hai

jo palkon se gir jae aansu ka qatra

jo palkon mein rah jaega wo guhar hai

wo zillat wo KHwari bhi us ke sabab thi

mohabbat ka sehra bhi us dil ke sar hai

koi aa raha hai koi ja raha hai

samajhte hain duniya ko KHala ka ghar hai

na koi payam us ki jaanib se aaya

na milta kahin ab mera nama-bar hai

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaare Liye Muskuraati Sahar Hai In English By Famous Poet Fawad Ahmad. Tumhaare Liye Muskuraati Sahar Hai is written by Fawad Ahmad. Read famous Poem Tumhaare Liye Muskuraati Sahar Hai for youth and Student by Fawad Ahmad. Free Download Tumhaare Liye Muskuraati Sahar Hai in PDF.