Un Nigahon Ko Ham-awaz Kiya Hai Maine

un nigahon ko ham-awaz kiya hai main ne

tab kahin git ka aaghaz kiya hai main ne

KHatm ho ta-ki sitaron ki ijara-dari

KHak ko mail-e-parwaz kiya hai main ne

aap ko ek nai KHiffat se bachane ke liye

chandni ko nazar-andaz kiya hai main ne

aasmanon ki taraf aur nahin dekhunga

ek nae daur ka aaghaz kiya hai main ne

ruThe logon ko manane mein maza aata hai

jaan kar aap ko naraaz kiya hai main ne

tum mujhe chhoD ke is tarah nahin ja sakte

is talluq pe bahut naz kiya hai main ne

wo jo sadiyon se yahan band paDa tha dekho

shairi ka wahi dar baz kiya hai main ne

sun ke mabhut hui jati hai duniya sari

sher likkhe hain ki ejaz kiya hai main ne

ishq mein nam kamana koi aasan na tha

sare ahbab ko naraaz kiya hai main ne

sirf logon ko batane se tasalli na hui

chand taron ko bhi hamraaz kiya hai main ne

aur bhi honge kai chahne wale lekin

aap ke nam ko mumtaz kiya hai main ne

aasmanon se pare karta hai ab ja ke shikar

tair-e-dil ko wo shahbaz kiya hai main ne

shairon se jo tere baad kabhi ho na saka

kaam wo hafiz-e-shiraaz kiya hai main ne

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Nigahon Ko Ham-awaz Kiya Hai Maine In English By Famous Poet Fawad Ahmad. Un Nigahon Ko Ham-awaz Kiya Hai Maine is written by Fawad Ahmad. Read famous Poem Un Nigahon Ko Ham-awaz Kiya Hai Maine for youth and Student by Fawad Ahmad. Free Download Un Nigahon Ko Ham-awaz Kiya Hai Maine in PDF.