Uski Gali Mein Zarf Se BaDh Kar Mila Mujhe

us ki gali mein zarf se baDh kar mila mujhe

ek pyala justuju thi samundar mila mujhe

main chal paDa tha aur kisi shahrah par

KHanjar-ba-dast yaadon ka lashkar mila mujhe

dariya-e-shab se par utarna muhaal tha

TuTa hua safina-e-KHawar mila mujhe

taron mein us ka aks hai phulon mein us ka rang

main jis taraf gaya mera dilbar mila mujhe

har zarra ba-kamal hai har patta be-misal

duniya mein KHud se koi na kam-tar mila mujhe

kab se bhaTak raha hun main is dasht mein magar

KHud se kabhi mila na tera dar mila mujhe

hota nahin hai tujh pe kisi baat ka asar

lagta hai tere rup mein patthar mila mujhe

be-kaif kaT rahi thi musalsal ye zindagi

phir KHwab mein wo KHwab sa paikar mila mujhe

is baat par karunga main din raat ehtijaj

kis jurm mein ye KHak ka bistar mila mujhe

mujh ko nahin rahi kabhi manzar ki justuju

ghar ke qarib ku-e-sitamgar mila mujhe

jab tak raha main KHud mein bhaTakta raha yahan

jab KHud ko kho diya to tera dar mila mujhe

miTTi mein DhunDta hua kuchh buDha aasman

main jis taraf gaya yahi manzar mila mujhe

karte hain log husn se yan na-rawa suluk

rote hue hamesha gul-e-tar mila mujhe

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski Gali Mein Zarf Se BaDh Kar Mila Mujhe In English By Famous Poet Fawad Ahmad. Uski Gali Mein Zarf Se BaDh Kar Mila Mujhe is written by Fawad Ahmad. Read famous Poem Uski Gali Mein Zarf Se BaDh Kar Mila Mujhe for youth and Student by Fawad Ahmad. Free Download Uski Gali Mein Zarf Se BaDh Kar Mila Mujhe in PDF.