Gham Duniya Ke Yaad Jab Aaen Uski Yaad Bhi Aane Do

gham duniya ke yaad jab aaen us ki yaad bhi aane do

ek nashshe mein aur ek nashsha ai yaro mil jaane do

aaKHir hum ko apne haal pe KHud rona KHud hansna hai

yaro ab kuchh der to Thahro thoDi tab to lane do

murjhane se pahle dil ko ek hansi ki hasrat kyun

band kali ko kuchh bhi nahin to ek tabassum pane do

kis anmol pashemani ki daulat hai in aaankhon mein

palkon par do aansu jhamken moti ke se dane do

us dilbar ko pyas hamari kuchh taskin to deti hai

jis ne hum par khol diye hain aaankhon ke mai-KHane do

hum bhi apna hosh ganwa kar sab ke jaise ho jaen

khul hi gai hai jab botal to bhar ke do paimane do

(720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Duniya Ke Yaad Jab Aaen Uski Yaad Bhi Aane Do In English By Famous Poet Fay Seen Ejaz. Gham Duniya Ke Yaad Jab Aaen Uski Yaad Bhi Aane Do is written by Fay Seen Ejaz. Read famous Poem Gham Duniya Ke Yaad Jab Aaen Uski Yaad Bhi Aane Do for youth and Student by Fay Seen Ejaz. Free Download Gham Duniya Ke Yaad Jab Aaen Uski Yaad Bhi Aane Do in PDF.