Samundar Sar PaTak Kar Mar Raha Tha

samundar sar paTak kar mar raha tha

to main jine ki koshish kar raha tha

kisi se bhi nahin tha KHauf mujh ko

main apne aap hi se Dar raha tha

guzarish waqt se main ne na ki thi

ki mera zaKHm KHud hi bhar raha tha

hazaron sal ki thi aag mujh mein

ragaDne tak main ek patthar raha tha

tujhe us din ki choTen yaad hongi

mujhe pahchan, tere ghar raha tha

(683) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samundar Sar PaTak Kar Mar Raha Tha In English By Famous Poet Fay Seen Ejaz. Samundar Sar PaTak Kar Mar Raha Tha is written by Fay Seen Ejaz. Read famous Poem Samundar Sar PaTak Kar Mar Raha Tha for youth and Student by Fay Seen Ejaz. Free Download Samundar Sar PaTak Kar Mar Raha Tha in PDF.