Umr Bhar Ek Si Uljhan To Nahin Ban Sakte

umr bhar ek si uljhan to nahin ban sakte

dost ban jaen ki dushman to nahin ban sakte

hum ko malum hai tum kya nahin ban pate ho

dhup ban jate ho sawan to nahin ban sakte

main ne dekha hai wo insan tumhaare andar

ram ban jaoge rawan to nahin ban sakte

naqd sanson ke liye dil se mohabbat karna

hum kabhi qarz ki dhaDkan to nahin ban sakte

har shikan aaj hai bistar ki tumhaari KHatir

tum mere chain ke dushman to nahin ban sakte

roz ek jaisi adakari na hogi hum se

tum bhi ek raat ki dulhan to nahin ban sakte

ek jaisi to nahin hoti hai sari duniya

sab tere rup ka darpan to nahin ban sakte

main hi ban jaunga kuchh der ko un ke jaisa

mere bachche mera bachpan to nahin ban sakte

haq talab karte hain baKHshish to nahin mangte hain

hum teri bhik ka bartan to nahin ban sakte

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umr Bhar Ek Si Uljhan To Nahin Ban Sakte In English By Famous Poet Fay Seen Ejaz. Umr Bhar Ek Si Uljhan To Nahin Ban Sakte is written by Fay Seen Ejaz. Read famous Poem Umr Bhar Ek Si Uljhan To Nahin Ban Sakte for youth and Student by Fay Seen Ejaz. Free Download Umr Bhar Ek Si Uljhan To Nahin Ban Sakte in PDF.