Uski Har Baat Ne Jadu Sa Kiya Tha Pahle

us ki har baat ne jadu sa kiya tha pahle

kitna dilchasp kahani ka KHuda tha pahle

KHwab-lamha teri KHushbu mein basa tha pahle

be-KHabar nind mein ek phul khila tha pahle

koi tasir thi jo gham ko bhula deti thi

tere andar koi fankar chhupa tha pahle

ye badan ab tujhe be-ruh khanDar lagta hai

is haweli mein ek insan jiya tha pahle

waqt par maut ki lazzat bhi nahin de paya

mujh ko wo aadmi hira hi laga tha pahle

ek sweater ne baDha di thi jawani meri

tum ne mere liye ek KHwab buna tha pahle

main jo kahta tha wahi baat hua karti thi

mere ghar mein koi jadu ka diya tha pahle

kaise aata hai dabe panw gunahon ka KHayal

kitni KHamoshi se darwaza khula tha pahle

jo bhi chehra tha wo apna sa laga karta tha

mai-kada raqs mein jab jhum raha tha pahle

uTh gaya hai to ab is shahr ko le Dubega

wahi tufan mere andar jo daba tha pahle

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski Har Baat Ne Jadu Sa Kiya Tha Pahle In English By Famous Poet Fay Seen Ejaz. Uski Har Baat Ne Jadu Sa Kiya Tha Pahle is written by Fay Seen Ejaz. Read famous Poem Uski Har Baat Ne Jadu Sa Kiya Tha Pahle for youth and Student by Fay Seen Ejaz. Free Download Uski Har Baat Ne Jadu Sa Kiya Tha Pahle in PDF.