Na Tum Mere Na Dil Mera Na Jaan-e-na-tawan Meri

na tum mere na dil mera na jaan-e-na-tawan meri

tasawwur mein bhi aa saktin nahin majburiyan meri

na tum aae na chain aaya na maut aai shab-e-wada

dil-e-muztar tha main tha aur thin be-tabiyan meri

abas nadaniyon par aap-apni naz karte hain

abhi dekhi kahan hain aap ne nadaniyan meri

ye manzil ye hasin manzil jawani nam hai jis ka

yahan se aur aage baDhna ye umr-e-rawan meri

(1386) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Tum Mere Na Dil Mera Na Jaan-e-na-tawan Meri In English By Famous Poet Fayyaz Hashmi. Na Tum Mere Na Dil Mera Na Jaan-e-na-tawan Meri is written by Fayyaz Hashmi. Read famous Poem Na Tum Mere Na Dil Mera Na Jaan-e-na-tawan Meri for youth and Student by Fayyaz Hashmi. Free Download Na Tum Mere Na Dil Mera Na Jaan-e-na-tawan Meri in PDF.