Ab Aa Gae Ho To Raftagan Ko Bhi Yaad Rakhna

ab aa gae ho to raftagan ko bhi yaad rakhna

bichhaDte lamhon ki dastan ko bhi yaad rakhna

zamin pe apne qadam jama kar na bhul jaana

saron pe Thahre is aasman ko bhi yaad rakhna

hawa-e-tishna ka chhin lena makin-e-jaan ko

magar larazte hue makan ko bhi yaad rakhna

sarab aaKHir meri hi aankhon ka moajaza hai

yaqin ki manzil mein is guman ko bhi yaad rakhna

agarche KHwahish ka aks lafzon mein aa gaya hai

jo chashm-e-tar mein hai is zaban ko bhi yaad rakhna

tujhe KHabar hai ki ibtida bhi hai intiha bhi

jahan-e-mani mein darmiyan ko bhi yaad rakhna

kabhi jo aibon ke tir ghael karen nazar ko

to KHwahishon ki jhuki kaman ko bhi yaad rakhna

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Aa Gae Ho To Raftagan Ko Bhi Yaad Rakhna In English By Famous Poet Fayyaz Tahseen. Ab Aa Gae Ho To Raftagan Ko Bhi Yaad Rakhna is written by Fayyaz Tahseen. Read famous Poem Ab Aa Gae Ho To Raftagan Ko Bhi Yaad Rakhna for youth and Student by Fayyaz Tahseen. Free Download Ab Aa Gae Ho To Raftagan Ko Bhi Yaad Rakhna in PDF.