Kabhi Yaad-e-KHuda Kabhi Ishq-e-butan Yunhi Sari Umr Ganwa BaiTha

kabhi yaad-e-KHuda kabhi ishq-e-butan yunhi sari umr ganwa baiTha

ab aaKHir-e-umr mein aa ke khula na thi ye sachchi na tha wo sachcha

kabhi KHwahish-e-duniya le Dubi kabhi KHauf-e-KHuda ne tang kiya

ab aa kar bhed khula hum par na thi ye achchhi na tha wo achchha

sar par gaThri angaron ki aur KHwahish par utarne ki

aage barik sa nazuk pul aur niche aag ka ek dariya

kuchh uqde aise hote hain jo na hi khulen to behtar hai

kuchh baaten aisi hoti hain jinhen dil mein chhupa lena achchha

wo mirza agle waqton ka wo saheban guzre waqton ki

jo karna tha wo kar guzre jo kahna tha wo kah dekha

ajdad kahin tum hal Dalo aur fasl ugao karmon ki

pichhe tariKH ka hanka hai aur aage bail Dara sahma

(750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Yaad-e-KHuda Kabhi Ishq-e-butan Yunhi Sari Umr Ganwa BaiTha In English By Famous Poet Fayyaz Tahseen. Kabhi Yaad-e-KHuda Kabhi Ishq-e-butan Yunhi Sari Umr Ganwa BaiTha is written by Fayyaz Tahseen. Read famous Poem Kabhi Yaad-e-KHuda Kabhi Ishq-e-butan Yunhi Sari Umr Ganwa BaiTha for youth and Student by Fayyaz Tahseen. Free Download Kabhi Yaad-e-KHuda Kabhi Ishq-e-butan Yunhi Sari Umr Ganwa BaiTha in PDF.