Chand Sansen Hain Mera RaKHt-e-safar Hi Kitna

chand sansen hain mera raKHt-e-safar hi kitna

chahiye zindagi karne ko hunar hi kitna

chalo achchha hi hua muft luTa di ye jins

hum ko milta sila-e-husn-e-nazar hi kitna

kya pighalta jo rag-o-pai mein tha yaKH-basta lahu

waqt ke jam mein tha shola-e-tar hi kitna

kis KHata par ye uThana paDi raaton ki salib

hum ne dekha tha abhi KHwab-e-sahar hi kitna

hum bhi kuchh der ko chamke the ki bas rakh hue

sach to ye hai ki ram-o-raqs-e-sharar hi kitna

tarz-e-ehsas mein nudrat thi udhar hi kitni

fikr-o-jazabe mein tawazun hai idhar hi kitna

de diye KHusraw-o-shirin ne use moD kai

warna yun fasla-e-tisha-o-sar hi kitna

tera irfan tu kya KHud ko na pahchan saka

tha mera dara-e-ilm-o-KHabar hi kitna

yak qadam besh nahin shab ki masafat lekin

ek TuTe hue tare ka safar hi kitna

ai 'faza' daman-e-alfaz hai ab bhi KHali

tha yahan shaKH-e-maani pe samar hi kitna

(858) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Sansen Hain Mera RaKHt-e-safar Hi Kitna In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Chand Sansen Hain Mera RaKHt-e-safar Hi Kitna is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Chand Sansen Hain Mera RaKHt-e-safar Hi Kitna for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Chand Sansen Hain Mera RaKHt-e-safar Hi Kitna in PDF.