Har Ek Qayas Haqiqat Se Dur-tar Nikla

har ek qayas haqiqat se dur-tar nikla

kitab ka na koi dars mo'tabar nikla

nafas tamam hua dastan KHatm hui

jo tha tawil wahi harf muKHtasar nikla

jo gard sath na uDti safar na yun kaTta

ghubar-e-rahguzar mauj-e-baal-o-par nikla

mujhe bhi kuchh nae teshe sambhaalne hi paDe

purane KHol ko jab wo bhi toD kar nikla

faza kushada nahin qatl-gah ki ye kahan

mere lahu ka parinda uDan par nikla

wo aadmi ki jo mahmil tha aaftabon ka

ba-qadr-e-yak-do kaf-e-KHak-e-rahguzar nikla

ye raat jis ke liye main ne jag kar kaTi

mila wo shaKHs to KHwabon ka ham-safar nikla

uDha di chadar-e-ismat ise KHayalon ne

har ek lafz zaban se barahna-sar nikla

'faza' tum uljhe rahe fikr o falsafe mein yahan

ba-nam-e-ishq wahan qura-e-hunar nikla

(869) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Qayas Haqiqat Se Dur-tar Nikla In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Har Ek Qayas Haqiqat Se Dur-tar Nikla is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Har Ek Qayas Haqiqat Se Dur-tar Nikla for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Har Ek Qayas Haqiqat Se Dur-tar Nikla in PDF.