Hath Phailao To Suraj Bhi Siyahi Dega

hath phailao to suraj bhi siyahi dega

kaun is daur mein sachchon ki gawahi dega

soz-e-ehsas bahut hai ise kam-tar mat jaan

yahi shoala tujhe baalida-nigahi dega

yun to har shaKHs ye kahta hai khara sona hun

kaun kis rup mein hai waqt bata hi dega

hun pur-ummid ki sab aastin rakhte hain yahan

koi KHanjar to meri pyas bujha hi dega

shab-gazida ko tere is ki KHabar hi kab thi

din jo aaega gham-e-la-mutanahi dega

aaina saf-dil itna bhi nahin ab ki tumhein

asl chehre ke KHat-o-KHal dikha hi dega

tere hathon ka qalam hai jo asa-e-darwesh

yahi ek din tujhe KHurshid-kulahi dega

(980) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hath Phailao To Suraj Bhi Siyahi Dega In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Hath Phailao To Suraj Bhi Siyahi Dega is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Hath Phailao To Suraj Bhi Siyahi Dega for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Hath Phailao To Suraj Bhi Siyahi Dega in PDF.