Main Hi Ek ShaKHs Tha Yaran-e-kuhan Mein Aisa

main hi ek shaKHs tha yaran-e-kuhan mein aisa

kaun aawara phira kucha-e-fan mein aisa

hum bhi jab tak jiye sarsabz hi sarsabz rahe

waqt ne zahr utara tha badan mein aisa

zindagi KHud ko na is rup mein pahchan saki

aadmi lipTa hai KHwabon ke kafan mein aisa

har KHizan mein jo bahaaron ki gawahi dega

hum bhi chhoD aae hain ek shola chaman mein aisa

log mujh ko mere aahang se pahchan gae

kaun badnam raha shahr-e-suKHan mein aisa

apne mansuron ko is daur ne puchha bhi nahin

paD gaya raKHna saf-e-dar-o-rasan mein aisa

hai tazadon bhari duniya bhi ham-ahang bahut

fasla to nahin kuchh sang o saman mein aisa

waqt ki dhup ko mathe ka pasina samjha

main sharabor raha dil ki jalan mein aisa

tum bhi dekho mujhe shayad to na pahchan sako

ai meri raato mein Duba hun gahan mein aisa

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Hi Ek ShaKHs Tha Yaran-e-kuhan Mein Aisa In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Main Hi Ek ShaKHs Tha Yaran-e-kuhan Mein Aisa is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Main Hi Ek ShaKHs Tha Yaran-e-kuhan Mein Aisa for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Main Hi Ek ShaKHs Tha Yaran-e-kuhan Mein Aisa in PDF.