Main KHud Hun Naqd Magar Sau Udhaar Sar Par Hai

main KHud hun naqd magar sau udhaar sar par hai

ajab wabaal-e-gham-e-rozgar sar par hai

guman hai sab ko ki hun aasman uThae hue

safar safar wo qadam ka ghubar sar par hai

hawa-e-jaan ka taqaza ki rahiye ghar se dur

ki hain jo ghar mein bayaban hazar sar par hai

subuk na samjho mujhe pusht TuT jaegi

main ek pal sahi sadiyon ka bar sar par hai

zamin ke zimme hai jo qarz kyun chukaun main

zamana kis liye aaKHir sawar sar par hai

hazar ghaTe ka sauda ho ye faqiri-e-harf

yahi bahut hai kulah-e-waqar sar par hai

'faza' na tha kabhi taza dimagh itna main

hai us ka hath ki shaKH-e-bahaar sar par hai

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main KHud Hun Naqd Magar Sau Udhaar Sar Par Hai In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Main KHud Hun Naqd Magar Sau Udhaar Sar Par Hai is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Main KHud Hun Naqd Magar Sau Udhaar Sar Par Hai for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Main KHud Hun Naqd Magar Sau Udhaar Sar Par Hai in PDF.