Muddaton Ke Baad Phir Kunj-e-hira Raushan Hua

muddaton ke baad phir kunj-e-hira raushan hua

kis ke lab par dekhna harf-e-dua raushan hua

ruh ko aalaish-e-gham se kabhi KHali na rakh

yani be-zangar kis ka aaina raushan hua

ye tamasha didani Thahra magar dekhega kaun

ho gae hum rakh to dast-e-dua raushan hua

raat jangal ka safar sab ham-safar bichhDe hue

de na hum ko ye bashaarat rasta raushan hua

KHwahishon KHwabon ka paikar hi sahi mera wajud

ek sitare ki haqiqat kya bujha raushan hua

bu-e-gul patton mein chhupti phir rahi thi der se

na-gahan shaKHon mein ek dast-e-saba raushan hua

is qadar mazbut mausam par rahi kis ki giraft

main ki mujh se sina-e-ab-o-hawa raushan hua

ek zara us se baDhi qurbat to aankhen khul gain

us ke mere bich tha jo fasla raushan hua

waqt ne kis aag mein itna jalaya hai mujhe

jis qadar raushan tha main us se siwa raushan hua

mujh ko meri aagahi aankhon se ojhal kar gai

us ne jo kuchh lauh-e-jaan par likh diya raushan hua

ai 'faza' itni kushada kab thi mani ki jihat

mere lafzon se ufuq ek dusra raushan hua

(908) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muddaton Ke Baad Phir Kunj-e-hira Raushan Hua In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Muddaton Ke Baad Phir Kunj-e-hira Raushan Hua is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Muddaton Ke Baad Phir Kunj-e-hira Raushan Hua for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Muddaton Ke Baad Phir Kunj-e-hira Raushan Hua in PDF.