Mujhe Manzur Kaghaz Par Nahin Patthar Pe Likh Dena

mujhe manzur kaghaz par nahin patthar pe likh dena

haTa kar mujh ko tum manzar se pas-manzar pe likh dena

KHabar mujh ko nahin main jism hun ya koi saya hun

zara is ki wazahat dhup ki chadar pe likh dena

usi ki did se mahrum jis ko dekhna chahun

meri aankhon ko us ke KHwab-gun paikar pe likh dena

isi miTTi ka ghamza hain maarif sab haqaeq sab

jo tum chaho to is jumle ko lauh-e-zar pe likh dena

bahut nazuk hain mere sarw qamat teghzan logo

hazimat KHurdgi meri saf-e-lashkar pe likh dena

kabhi main bhi uDanen bharne wala tha bahut unchi

meri pahchan isi TuTe hue shahpar pe likh dena

sarabon ke safar se tu nahin lauTa 'faza' ab tak

jo KHat likhna to itni baat us ke ghar pe likh dena

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Manzur Kaghaz Par Nahin Patthar Pe Likh Dena In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Mujhe Manzur Kaghaz Par Nahin Patthar Pe Likh Dena is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Mujhe Manzur Kaghaz Par Nahin Patthar Pe Likh Dena for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Mujhe Manzur Kaghaz Par Nahin Patthar Pe Likh Dena in PDF.