Paya-e-KHisht-o-KHazaf Aur Guhar Se Uncha

paya-e-KHisht-o-KHazaf aur guhar se uncha

qad yahan be-hunari ka hai hunar se uncha

ek din gharq na kar de tujhe ye sail-e-wajud

dekh ho jae na pani kahin sar se uncha

mangta kis se mujhe sang-e-sar-afraazi de

koi darwaza to hota tere dar se uncha

ham-qadam hai tapish-e-jaan to pahunch jaunga

ek do jast mein diwar-e-shajar se uncha

ek bigDi hui tamsil hain sare chehre

koi manzar nahin meyar-e-nazar se uncha

dhup utri to simaTna paDa KHud mein us ko

ek saya ki jo tha apne shajar se uncha

bulbula uThne ko uTTha to magar bechaara

rakh saka KHud ko na dariya ke bhanwar se uncha

kaisi pasti mein ye duniya ne basaya hai mujhe

nazar aata hai har ek ghar mere ghar se uncha

wo kahan se ye taKHayyul ke ufuq laega

aasman ab bhi nahin hai mere sar se uncha

KHak-e-'shibli' se KHamir apna bhi uTTha hai 'faza'

nam urdu ka hua hai isi ghar se uncha

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Paya-e-KHisht-o-KHazaf Aur Guhar Se Uncha In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Paya-e-KHisht-o-KHazaf Aur Guhar Se Uncha is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Paya-e-KHisht-o-KHazaf Aur Guhar Se Uncha for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Paya-e-KHisht-o-KHazaf Aur Guhar Se Uncha in PDF.