Raegan Sab Kuchh Hua Kaisi Basirat Kya Hunar

raegan sab kuchh hua kaisi basirat kya hunar

gard gard apni basirat KHak KHak apna hunar

jis taraf dekho hujum-e-chehra-e-be-chehragan

kis ghane jangal mein yaro gum hua sab ka hunar

ab hamari muTThiyon mein ek jugnu bhi nahin

chhin kar be-rahm mausam le gaya sara hunar

toD kar is ko bhi ab koi hawa le jaegi

ye jo barg-e-sabz ke manind hai mera hunar

ab kahan dil ke lahu mein bhigi bhigi aagahi

jeb mein hum bhi liye phirte hain mange ka hunar

dekhna hain khelne walon ki chabuk-dastiyan

tash ka patta sahi mera hunar tera hunar

garmi-e-pahlu yahi tashkik o la-ilmi ki aanch

zauq-e-gumshudgi se hum hain ba-KHabar ya ba-hunar

bas yahi KHakistar-e-jaan hai yahan apni shanaKHt

ho gaya sara badan jab rakh to chamka hunar

shaKHsiyat ka ye tawazun tera hissa hai 'faza'

jitni sada hai tabiat utna hi tikha hunar

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raegan Sab Kuchh Hua Kaisi Basirat Kya Hunar In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Raegan Sab Kuchh Hua Kaisi Basirat Kya Hunar is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Raegan Sab Kuchh Hua Kaisi Basirat Kya Hunar for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Raegan Sab Kuchh Hua Kaisi Basirat Kya Hunar in PDF.