Ruh Aur Badan Donon Dagh Dagh Hain Yaro

ruh aur badan donon dagh dagh hain yaro

phir bhi apne baam-o-dar be-charagh hain yaro

aao hum mein Dhal jao umr bhar ke pyase hain

tum sharab ho yaro hum ayagh hain yaro

jin pe barish-e-gul hai un ka haal kya hoga

zaKHm khane wale bhi bagh bagh hain yaro

jin ko rah ke kanTon mein KHush-mizaj hona tha

wo maqam-e-gul pa kar be-dimagh hain yaro

hum se mil ke fitrat ke pech-o-KHam ko samjhoge

hum jahan-e-fitrat ka ek suragh hain yaro

na-shanason ki tahsin rang lai hai kya kya

koile bhi ab lal-e-shab-charagh hain yaro

hum hasin ghazlon se peT bhar nahin sakte

daulat-e-suKHan le kar be-faragh hain yaro

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ruh Aur Badan Donon Dagh Dagh Hain Yaro In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Ruh Aur Badan Donon Dagh Dagh Hain Yaro is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Ruh Aur Badan Donon Dagh Dagh Hain Yaro for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Ruh Aur Badan Donon Dagh Dagh Hain Yaro in PDF.