Sarab-e-jism Ko Sahra-e-jaan Mein Rakh Dena

sarab-e-jism ko sahra-e-jaan mein rakh dena

zara si dhup bhi is saeban mein rakh dena

tujhe hawas ho jo mujh ko hadaf banane ki

mujhe bhi tir ki surat kaman mein rakh dena

shikast khae hue hauslon ka lashkar hun

uTha ke mujh ko saf-e-dushmanan mein rakh dena

jadid naslon ki KHatir ye warsa kafi hai

mere yaqin ko hisar-e-guman mein rakh dena

ye mauj ta-ki safine ko garm-rau rakkhe

kuchh aag KHema-e-ab-e-rawan mein rakh dena

bahut tawil hai kale samundaron ka safar

mujhe hawa ki jagah baadban mein rakh dena

main apne zimme kisi ka hisab kyun rakkhun

jo nafa hai use jaib-e-ziyan mein rakh dena

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sarab-e-jism Ko Sahra-e-jaan Mein Rakh Dena In English By Famous Poet Faza Ibn E Faizi. Sarab-e-jism Ko Sahra-e-jaan Mein Rakh Dena is written by Faza Ibn E Faizi. Read famous Poem Sarab-e-jism Ko Sahra-e-jaan Mein Rakh Dena for youth and Student by Faza Ibn E Faizi. Free Download Sarab-e-jism Ko Sahra-e-jaan Mein Rakh Dena in PDF.